bashar  kī  zaat  meñ  shar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
ye  baat  naqs-e-nazar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
hayāt  kī  shab-e-tārīk  ḳhatm  hotī  hai
qazā  tulū-e-sahar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
jo  dekhiye  to  kaf-e-gul-farosh  bhī  hai  hayāt
ġhalat  ki  dāman-e-tar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
guzar  ke  had  se  har  ik  shai  bar-aks  hotī  hai
kamāl-e-aib-e-hunar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
ye  rañg  jo  nazar  aatā  hai  chehra-e-gul  par
hamāre  ḳhūn-e-jigar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
bashar  hai  jauhar-e-kirdār  se  garāñ-māya
guhar  meñ  āb-e-guhar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
nazar-fareb  nazāre  jahāñ  ke  ai  'fāzil'
fareb-e-husn-e-nazar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ