kohsāroñ  meñ  nahīñ  hai  ki  bayābāñ  meñ  nahīñ
bāġhbāñ  husn  faqat  tere  gulistāñ  meñ  nahīñ
mauj-e-dariyā  kī  ravānī  ki  ghaTāoñ  kā  ḳhirām
kaun  sī  baat  tirī  zulf-e-pareshāñ  meñ  nahīñ
tujh  se  ho  tark-e-jafā  mujh  se  vafā.eñ  chhūTeñ
vo  tire  bas  meñ  nahīñ  ye  mire  imkāñ  meñ  nahīñ
ḳhair  dhuñdlā.ī  sī  thī  raushnī-e-shām-e-ḳhizāñ
bāġhbāñ  vo  bhī  to  is  sub.h-e-bahārāñ  meñ  nahīñ
chhīn  le  sāqī-e-be-faiz  ke  hāthoñ  se  subū
riñd  kyā  aisā  koī  mahfil-e-rindāñ  meñ  nahīñ
uljhanoñ  kā  ho  asar  kyuuñ  na  sukūn-e-dil  par
rabt  kyā  ham-nafaso  sāhil-o-tūfāñ  meñ  nahīñ
ḳhanda-e-gul  ho  ki  ho  girya-e-shabnam  'fāzil'
dāstāñ  ġham  kī  nihāñ  kaun  se  unvāñ  meñ  nahīñ