na  sanam-kadoñ  kī  hai  justujū  na  ḳhudā  ke  ghar  kī  talāsh  hai
mire  dil  meñ  bhar  de  jo  bijliyāñ  mujhe  us  nazar  kī  talāsh  hai
haiñ  bahut  se  aise  bhī  rāhzan  jo  mileñge  ḳhizr  ke  bhes  meñ
koī  un  se  kah  de  ye  ham-safar  jinheñ  rāhbar  kī  talāsh  hai
tujhe  chand  roza  ḳhushī  milī  to  milā  mujhe  ġham-e-dā.imī
vo  tirī  nazar  kī  talāsh  thī  ye  mirī  nazar  kī  talāsh  hai
mirī  raah  ye  tirī  raah  vo  mirā  saath  tujh  se  nibhegā  kyā
ki  mujhe  hai  dard  kī  justujū  tujhe  chāragar  kī  talāsh  hai