huī  dil  TūTne  par  is  tarah  dil  se  fuġhāñ  paidā
ki  jaise  sham.a  ke  bujhne  se  hotā  hai  dhuāñ  paidā
rahā  sābit-qadam  yuuñ  hī  agar  azm-e-safar  apnā
karegī  ḳhud  rah-e-dushvār  hī  āsāniyāñ  paidā
har  ik  ta.amīr  ḳhud  apnī  tabāhī  saath  laatī  hai
na  girtī  barq  gar  hotī  na  shāḳh-e-āshiyāñ  paidā
mirī  ḳhvāhish  ki  ik  sajda  miTā  de  nām-e-peshānī
tirī  ḳhvāhish  ho  peshānī  pe  sajdoñ  kā  nishāñ  paidā
vo  jin  kī  maut  par  rote  haiñ  barsoñ  jām-o-paimāna
ab  aise  bāda-kash  hote  haiñ  ai  saaqī  kahāñ  paidā
zarūrat  kyā  kareñ  ham  justajū-e-āstāñ  ai  dil
salāmat  zauq-e-sajda  aap  hogā  āstāñ  paidā
nazar  meñ  jin  kī  rañgīnī  tabī.at  meñ  hai  ra.anā.ī
vo  kar  lete  haiñ  'fāzil'  dasht  meñ  bhī  gulistāñ  paidā