gulzār  meñ  ek  phuul  bhī  ḳhandāñ  to  nahīñ  hai
kuchh  aur  hai  ye  daur-e-bahārāñ  to  nahīñ  hai
hai  chāk-ba-dāmāñ  hī  tū  ai  lāla-e-ḳhud-sar
gul  terī  tarah  dāġh-ba-dāmāñ  to  nahīñ  hai
achchhā  hī  huā  Duub  gayā  merā  safīna
ab  kashmakash-e-sāhil-o-tūfāñ  to  nahīñ  hai
taqdīr  kī  baat  aur  hai  varna  dil-e-muztar
ummīd  ke  bar  aane  kā  imkāñ  to  nahīñ  hai
is  bār-e-garāñ  kā  hai  uThānā  bahut  āsāñ
ġham  hai  kisī  kam-zarf  kā  ehsāñ  to  nahīñ  hai
pāmāl  kare  kyuuñ  koī  be-dard  ki  sabza
begāna  sahī  nañg-e-gulistāñ  to  nahīñ  hai
qīmat  mire  aañsū  kī  faqat  ek  tabassum
shabnam  kī  tarah  ye  koī  arzāñ  to  nahīñ  hai
kyuuñ  mujh  pe  nazar  hai  tirī  ai  gardish-e-daurāñ
hastī  mirī  duniyā  meñ  numāyāñ  to  nahīñ  hai
kuchh  daaġh  haiñ  kuchh  zaḳhm  haiñ  'fāzil'  ke  jigar  meñ
muflis  hai  magar  be-sar-o-sāmāñ  to  nahīñ  hai