ye  daur  kaisā  hai  yā-ilāhī  ki  dost  dushman  se  kam  nahīñ  hai
ḳhulūs-e-har-rahbar-e-zamāna  fareb-e-rahzan  se  kam  nahīñ  hai
huā  to  hai  be-naqāb  koī  nazar  hai  mahrūm-e-dīd  phir  bhī
naqāb  se  hai  sivā  tajallī  jamāl-e-chilman  se  kam  nahīñ  hai
lagā  ke  ḳhūn-e-jigar  kā  Tiikā  hai  sāmne  ġham  ke  sar-ba-sajda
sanam-parastī  meñ  tū  bhī  ai  dil  kisī  barahman  se  kam  nahīñ  hai
qafas  ki  hai  ab  mirā  Thikāna  zarūr  hogā  tabāh  ik  din
ki  bijliyoñ  kī  nazar  meñ  ye  bhī  mire  nasheman  se  kam  nahīñ  hai
misāl-e-ḳhurshīd  jalva-gar  hai  jigar  kā  har  ek  dāġh-e-tābāñ
nazāra  kar  merī  shām-e-ġham  kā  jo  sub.h-e-raushan  se  kam  nahīñ  hai
ye  ḳhushk  be-rañg  ḳhaar  fāzil  mire  liye  haiñ  guloñ  se  behtar
mirī  nazar  meñ  mirā  bayābāñ  kisī  ke  gulshan  se  kam  nahīñ  hai