adiib  thā  na  maiñ  koī  baḌā  sahāfī  thā
zamāna  phir  bhī  mire  fan  kā  e'tirāfī  thā
mujhe  bhī  zahr  diyā  kyuuñ  na  haq-bayānī  par
ki  ye  gunāh  to  nā-qābil-e-muāfī  thā
kisī  se  ek  bhī  fitrat  kā  raaz  khul  na  sakā
agarche  daur  zamāne  kā  inkishāfī  thā
musībatoñ  ne  to  nāhaq  uThā.īñ  taklīfeñ
mujhe  miTāne  ko  merā  shabāb  kaafī  thā
dil-o-nazar  na  ulajhte  to  hal  nikal  aatā
hazār  mas.ala-e-dīd  iḳhtilāfī  thā
vo  merī  raa.e  se  to  muttafiq  thā  ai  'fāzil'
zarīf-kār  magar  us  kā  inhirāfī  thā