zamzama-e-āh-o-fuġhāñ  duur  tak
gūñjtī  hai  vādī-e-jāñ  duur  tak
haa.e  re  vīrānī-e-rāh-e-hayāt
koī  sadā  hai  na  nishāñ  duur  tak
mil  na  sakā  amn-o-sukūñ  kā  pata
DhūñD  chukī  umr-e-ravāñ  duur  tak
sham-e-tarab  jalva-fagan  ās-pās
mash.al-ġham  nūr-fishāñ  duur  tak
simTe  hue  amn  ke  paiġhāmbar
phaile  hue  qātil-e-jāñ  duur  tak
shahr  meñ  dehāt  meñ  har  raah  meñ
ḳhuun  kī  ik  jū-e-ravāñ  duur  tak
pūchh  na  'fāzil'  mirī  duniyā  kā  rañg
aag  har  ik  samt  dhuāñ  duur  tak