mire  zaḳhm-e-jigar  ko  zaḳhm-e-dāman-dār  honā  thā
zarā  vāzeh  tumhāre  lutf  kā  iz.hār  honā  thā
dil-e-pur-dāġh  kī  tārīkiyoñ  par  saḳht  hairat  hai
ye  vo  matl.a  hai  jis  ko  matla-e-anvār  honā  thā
tumheñ  lenā  thā  pahle  jā.eza  apnī  nigāhoñ  kā
phir  us  ke  ba.ad  muusā  tālib-e-dīdār  honā  thā
pareshāñ  haiñ  misāl-e-gard-gumnāmī  ke  sahrā  meñ
bahut  aise  ki  jin  ko  qāfila-sālār  honā  thā
udhar  vo  aa.e  āñkhoñ  meñ  idhar  ḳhvāb-e-ajal  aayā
kahāñ  soī  huī  taqdīr  ko  bedār  honā  thā
koī  dekhe  to  'fāzil'  qābiliyyat  bāġhbānoñ  kī
vahāñ  kāñTe  hī  kāñTe  haiñ  jahāñ  gulzār  honā  thā