ashk  aayā  aañkh  meñ  jaltā  huā
aaj  soz-e-ġham  kā  andāza  huā
zindagī  guzrī  ummīd-o-yās  meñ
dil  kabhī  gulshan  kabhī  sahrā  huā
zikr-e-zulf-e-yār  rahne  do  abhī
mas.ala  hai  ziist  kā  uljhā  huā
ban  gayā  dāman  meñ  vo  aañsū  guhar
jo  na  merī  aañkh  kā  taarā  huā
bārhā  ruk  ruk  ga.ī  nabz-e-jahāñ
husn  kā  jaadū  hai  kyā  chaltā  huā
gardishoñ  se  kyā  mujhe  degā  najāt
jaam  ḳhud  gardish  meñ  hai  aayā  huā
dil  vo  kyā  jo  ġham  se  ho  nā-āshnā
ġham  vo  kyā  jis  kā  ki  andāza  huā
ham  pareshāñ-hāl  'fāzil'  se  mile
hai  tabī.at  kā  bahut  suljhā  huā