dil  ke  makāñ  meñ  aañkh  ke  āñgan  meñ  kuchh  na  thā
jab  ġham  na  thā  hayāt  ke  dāman  meñ  kuchh  na  thā
ye  to  zarā  batāo  hameñ  ahl-e-kārvāñ
un  rahbaroñ  meñ  kyā  hai  jo  rahzan  meñ  kuchh  na  thā
zulmat  kā  jab  tilism  na  TuuTā  nigāh  se
raushan  huā  ki  dīda-e-raushan  meñ  kuchh  na  thā
vo  to  bahār  kā  hameñ  rakhnā  paḌā  bharam
varna  ye  vāqi.a  hai  ki  gulshan  meñ  kuchh  na  thā
mujh  par  ba-taur-e-ḳhās  thī  us  kī  nigāh-e-lutf
kahtā  maiñ  kis  tarah  mire  dushman  meñ  kuchh  na  thā
ye  bhī  durust  hai  ki  nasheman  meñ  barq  thī
ye  bhī  ġhalat  nahīñ  ki  nasheman  meñ  kuchh  na  thā
'fāzil'  ruḳh-e-hayāt  pe  yuuñ  thiiñ  masarrateñ
jaise  ġham-e-hayāt  kī  uljhan  meñ  kuchh  na  thā