Naz Butt

har ek mausam ki niyyat jaanti hain

Naz Butt

har ik mausam kī niyyat jāntī haiñ
havā ke Dar se shāḳheñ kāñptī haiñ
koī un kā bhī aa kar haath roke
vo yādeñ jo diloñ ko kāTtī haiñ
mujhe hai bad-duā shāyad kisī kī
mirī āñkhoñ se nīndeñ bhāgtī haiñ
badan meñ sarsarātī hai ḳhamoshī
ragoñ meñ vahshateñ sī nāchtī haiñ
ajab sī kaifiyat hai bebasī kī
maiñ so jā.ūñ to āñkheñ jāgtī haiñ
janāzoñ par janāze uTh rahe haiñ
sabhī maaoñ kī rūheñ kāñptī haiñ
Top Urdushayar.com