Naz Butt

kuchh is ada se hamein gham-gusar milte hain

Naz Butt

kuchh is adā se hameñ ġham-gusār milte haiñ
hazār zaḳhm pas-e-e'tibār milte haiñ
shab-e-firāq kī vahshat na pūchhiye ham se
ham apne hijr se dīvāna-vār milte haiñ
ye shahr-e-zaḳhm-faroshāñ hai haa.e kyā kiije
ki pā-e-gul bhī yahāñ ḳhaar ḳhaar milte haiñ
vo jin kī kokh meñ shauq-e-ḳhirad panaptā hai
vo valvale bhī junūñ kā shikār milte haiñ
sajā ke rakhte haiñ jin ko chamak kī ḳhvāhish meñ
vo aa.ine bhī hameñ dāġh-dār milte haiñ
hameñ unhī se tavaqqo hai 'nāz' manzil kī
jo rāste hameñ ban kar ġhubār milte haiñ
Top Urdushayar.com