Rahat Indori

humne KHud apni rahnumai ki

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950

ham ne ḳhud apnī rahnumā.ī

aur shohrat huī ḳhudā.ī

maiñ ne duniyā se mujh se duniyā ne

saikḌoñ baar bevafā.ī

khule rahte haiñ saare darvāze

koī sūrat nahīñ rihā.ī

TuuT kar ham mile haiñ pahlī baar

ye shurūāt hai judā.ī

so.e rahte haiñ oḌh kar ḳhud ko

ab zarūrat nahīñ razā.ī

manzileñ chūmtī haiñ mere qadam

daad diije shikasta-pā.ī

zindagī jaise-taise kāTnī hai

kyā bhalā.ī kyā burā.ī

ishq ke kārobār meñ ham ne

jaan de kar baḌī kamā.ī

ab kisī zabāñ nahīñ khultī

rasm jaarī hai muñh-bharā.ī

Top Urdushayar.com