pahle  to  ik  ḳhvāb  thā  ḳhākistar-o-ḳhāvar  ke  biich
ab  añdherī  shab  hai  haa.il  us  ke  mere  ghar  ke  biich
hādse  jaise  haiñ  sab  dekhe  hue  samjhe  hue
koī  hairānī  nahīñ  ab  aañkh  aur  manzar  ke  biich
sab  sipāhī  apnī  apnī  zaat  meñ  masrūf  the
shāhzāda  ab  ke  tanhā  hī  laḌā  lashkar  ke  biich
asr-e-hāzir  ke  sivā  bhī  kuchh  zamāne  aur  haiñ
kuchh  manāzir  aur  bhī  haiñ  āsmāñ  manzar  ke  biich
ek  ye  tārīḳh  hai  paḌhte  haiñ  jis  ko  aaj  ham
ik  alag  tārīḳh  bhī  hai  raam  ke  bābar  ke  biich
lo  'qamar'-sāhab  zamāna  chaal  apnī  chal  gayā
aap  itnā  hī  chale  bas  ghar  ke  aur  daftar  ke  biich