vo  baat  baat  pe  kahtā  hai  bevafā  mujh  ko
sikhā  diyā  unhīñ  bātoñ  ne  bolnā  mujh  ko
maiñ  apnī  zaat  meñ  gum  ho  gayā  thā  sab  se  duur
tirī  nazar  se  milā  hai  mirā  pata  mujh  ko
haqīqatoñ  se  nazar  kab  talak  churā.uñgā
ki  baar  baar  dikhātī  haiñ  aa.ina  mujh  ko
vo  chāhtā  thā  ki  maiñ  us  kī  ik  jhalak  dekhūñ
maiñ  sochtā  thā  kahīñ  se  vo  de  sadā  mujh  ko
bhulā.e  baiThā  thā  jis  ko  maiñ  ek  muddat  se
na  jaane  kaise  vo  phir  yaad  aa  gayā  mujh  ko
mire  ḳhilāf  'qamar'  jaane  kis  kī  sāzish  hai
banāyā  jaatā  hai  har  roz  mas.ala  mujh  ko