ḳhvāb  nahīñ  hai  sannāTā  hai  lekin  hai  ta.abīr  bahut
sachchī  bāteñ  kam  kam  haiñ  aur  jhuuT  kī  hai  tash.hīr  bahut
kyā  kyā  chehre  haiñ  āñkhoñ  meñ  shakleñ  kyā  kyā  zehn  meñ  haiñ
yādeñ  goyā  album  haiñ  aur  album  meñ  tasvīr  bahut
qissa  hai  bas  do-pal  kā  ye  milne  aur  bichhaḌne  kā
karne  vaale  ishq  kī  yuuñ  to  karte  haiñ  tafsīr  bahut
ham  to  sāhab-e-ahl-e-junūñ  haiñ  duniyā  khel-tamāshā  hai
ahl-e-ḳhirad  kī  ḳhātir  hogī  duniyā  kī  zanjīr  bahut
saarī  shakleñ  dhundlī  dhundlī  mub.ham  sā  hai  manzar  bhī
ḳhvāb  kī  kachchī  buniyādoñ  par  karnī  hai  ta.amīr  bahut
qissa  ye  mahdūd  na  thā  kuchh  hoñToñ  kī  ḳhāmoshī  tak
kahne  ko  to  kahtī  thī  un  āñkhoñ  kī  tahrīr  bahut