kyā  rañj  ki  yūsuf  kā  ḳharīdār  nahīñ  hai
ye  shahr  koī  misr  kā  bāzār  nahīñ  hai
kyuuñ  merī  giraftārī  pe  hañgāma  hai  har  sū
vo  kaun  hai  jo  terā  giraftār  nahīñ  hai
kis  kis  pe  ināyat  na  huī  terī  nazar  kī
bas  ek  mirī  samt  guhar-bār  nahīñ  hai
kyuuñ  jur.at-e-iz.hār  pe  hairān  ho  merī
abrū  haiñ  tumhāre  koī  talvār  nahīñ  hai
saaya  hai  mire  sar  pe  'qamar'  dhuup  shajar  kā
baiThā  huuñ  jahāñ  sāya-e-dīvār  nahīñ  hai