jitnā  thā  jiinā  jī  liye  mar  jaanā  chāhiye
had  ho  ga.ī  to  had  se  guzar  jaanā  chāhiye
Thahre  hue  haiñ  kab  se  ye  mehmān  kī  tarah
āñkhoñ  se  āñsuoñ  ko  bikhar  jaanā  chāhiye
ye  kyā  ki  roz  qisse  meñ  tum  sher  hī  bano
yaaro  kabhī  kabhār  to  Dar  jaanā  chāhiye
us  kī  galī  meñ  jaur-o-jafā  aam  hai  bahut
us  kī  galī  meñ  yaar  magar  jaanā  chāhiye
ab  ke  to  ma.arka  hai  bahut  saḳht  ziist  kā
ab  ke  to  ma.arke  meñ  ye  sar  jaanā  chāhiye
chal  to  rahe  haiñ  log  yahāñ  qāfile  ke  saath
lekin  pata  nahīñ  hai  kidhar  jaanā  chāhiye
yuuñ  to  mushā.eron  se  ye  jī  bhar  gayā  magar
kahnā  'obaid'  kā  hai  'qamar'  jaanā  chāhiye