Shakeel Shamsi

teri nazar ke samne ye dil nahin raha

Shakeel Shamsi

terī nazar ke sāmne ye dil nahīñ rahā
ā.īna aa.ine ke muqābil nahīñ rahā
achchhā huā ki vaqt se pahle bichhaḌ gayā
barbādiyoñ meñ tū mirī shāmil nahīñ rahā
mujh ko samajh rahā thā jo maazī kī ik kitāb
vo bhī na.e nisāb meñ shāmil nahīñ rahā
lauT aa.iiñ phir se kashtiyāñ tūfāñ se haar kar
vīrāñ bahut dinoñ mirā sāhil nahīñ rahā
munsif kī uñgliyoñ ke nishāñ ḳhanjaroñ pe haiñ
ab koī apne shahr meñ qātil nahīñ rahā
har ik qadam pe rakkhā hai dil kā bahut ḳhayāl
us kī taraf se meñ kabhī ġhāfil nahīñ rahā
raqsāñ hai chāra-gar ke ishāroñ pe āj-kal
ab dil bhī e'tibār ke qābil nahīñ rahā
Top Urdushayar.com