bādshāhoñ kī tarah aur na vazīroñ kī tarah
ham to darvesh the aa.e yahāñ pīroñ kī tarah
rāj-mahloñ meñ kahāñ DhūñDh rahe ho ham ko
ham to ajmer meñ rahte haiñ faqīroñ kī tarah
ham bhī is mulk kī taqdīr kā ik hissa haiñ
ham na miT pā.eñge hāthoñ kī lakīroñ kī tarah
jāñ-fishānī se bahut ham ne jaḌe haiñ aañsū
māthar-e-hind tire taaj meñ hīroñ kī tarah
dushmanoñ ko to yahī baat bahut khaltī hai
ham to ġhurbat meñ bhī zinda haiñ amīroñ kī tarah