Heera Lal Falak Dehlvi

zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri

Heera Lal Falak Dehlvi

zamāna dekhtā hai hans ke chashm-e-ḳhūñ-fishāñ merī
magar maiñ ḳhush huuñ un kī dāstāñ hai aur zabāñ merī
akelā huuñ bharī duniyā meñ maiñ kis ko kahūñ apnā
koī hotā to kar detā mukammal dāstāñ merī
guzartā aa rahā huuñ jaane meñ kin kin maqāmoñ se
zamīñ ke ba.ad aayā rahguzar meñ āsmāñ merī
maiñ yārab ḳhaak kā putlā sahī lekin ye kyā kam hai
huī hai muntaḳhab hastī barā.e imtihāñ merī
fanā kī manziloñ par ḳhatm haiñ rāheñ anāsir kī
yahī ab dekhnā hai ruuh jaatī hai kahāñ merī
na jaane silsila jaatā kahāñ tak jism-e-ḳhākī kā
ḳhudā kā shukr hai had ban ga.e kaun-o-makāñ merī
zarā ai azm-e-dil ruḳh pher tūfāñ kī havāoñ ke
sū-e-girdāb kashtī le chalī mauj-e-ravāñ merī
zabāñ par le to ā.ūñgā magar dil thāmnā hogā
mujhe ma.alūm hai rūdād-e-dil hai lā-bayāñ merī
kaḌak kar bijliyāñ rah jā.eñgī chhaT jā.eñge bādal
rahegā zindagī ban kar sukūn-e-āshiyāñ merī
'falak' maiñ sar-zamīn-e-'dāġh'-o-'ġhālib' kā huuñ ik zarra
vatan hai shahr-e-dehlī zindagī urdu zabāñ merī
Top Urdushayar.com