tāroñ  se  māhtāb  se  aur  kahkashāñ  se  kyā
merā  vatan  zamīñ  hai  mujhe  āsmāñ  se  kyā
TukḌe  jigar  ke  hoñ  ki  Tapaktā  ho  ḳhūn-e-dil
unvāñ  jo  tum  nahīñ  to  tumheñ  dāstāñ  se  kyā
jiinā  jo  jāntā  ho  taḌap  kar  tire  baġhair
is  ko  tirī  galī  se  tire  āstāñ  se  kyā
un  kā  na  sāmnā  ho  usī  meñ  hai  āfiyat
kyā  jāniye  ki  nikle  hamārī  zabāñ  se  kyā
utregā  jab  ḳhumār  vahī  hoñge  ranj-o-ġham
dil  ko  sukūñ  milegā  mai-e-arġhavāñ  se  kyā
ai  dil  hai  kis  liye  tujhe  āvārgī  kā  shauq
tū  bhī  bichhaḌ  gayā  hai  kisī  kārvāñ  se  kyā
ġham  hai  shikast  kā  na  ḳhushī  fat.h  kī  'falak'
mujh  ko  amal  se  kaam  hai  sūd-o-ziyāñ  se  kyā