Heera Lal Falak Dehlvi

ashk-e-gham wo hai jo duniya ko dikha bhi na sakun

Heera Lal Falak Dehlvi

ashk-e-ġham vo hai jo duniyā ko dikhā bhī na sakūñ

aur gir jaa.e zamīñ par to uThā bhī na sakūñ

ye mire ġham fasāna hai rahegā lab par

terī rūdād nahīñ hai ki sunā bhī na sakūñ

partav-e-husn huuñ is vāste mahdūd huuñ maiñ

husn ho jā.ūñ to duniyā meñ samā bhī na sakūñ

tez kuchh vaqt raftār nahīñ hai lekin

tum agar saath na do paañv baḌhā bhī na sakūñ

ab vahī log bigāḌī hai jinhoñ ne qismat

chāhte haiñ ki maiñ taqdīr banā bhī na sakūñ

aaj nākām sahī kal bharosa hai mujhe

ishq phir kyā jo tujhe apnā banā bhī na sakūñ

dil kahāñ ek siyah-ḳhāna hai ranj-o-ġham

is qadar daaġh lage haiñ ki miTā bhī na sakūñ

dil gahrā.ī se ai dost zarā kah to sahī

jaan aisī to nahīñ jis ko gañvā bhī na sakūñ

umr guzrī kabhī saaqī ne 'falak' ye na kahā

itnī le ki tujhe hosh meñ bhī na sakūñ

Top Urdushayar.com