Heera Lal Falak Dehlvi

ku-e-jaanan mein nahin koi guzar ki surat

Heera Lal Falak Dehlvi

kū-e-jānāñ meñ nahīñ koī guzar kī sūrat
dil uḌā phirtā hai TuuTe hue par kī sūrat
ham to manzil ke talabgār the lekin manzil
aage baḌhtī hī ga.ī rāhguzar kī sūrat
vo raheñ sāmne mere to tasallī varna
dil bhī kambaḳht bhaTaktā hai nazar kī sūrat
ruuh afsurda pareshān ḳhayālāt meñ gum
aisī pahle kabhī dekhī thī bashar kī sūrat
merī qismat meñ mohabbat ne yahī likkhā hai
dard bhī dil meñ rahe zaḳhm-e-jigar kī sūrat
baiTh jaa.eñ kisī goshe meñ simaT kar ai dost
kaun gardish meñ rahe shams-o-qamar kī sūrat
vo ga.e ghar se to phir ham ne bhī ghar ko chhoḌā
ham se dekhī ga.ī dīvār na dar kī sūrat
chand aañsū hī mire dil pe 'falak' gir jaa.eñ
ātish-e-ġham se sulagtā hai sharar kī sūrat
Top Urdushayar.com