Purnam Allahabadi

donon aalam se wo begana nazar aata hai

Purnam Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1940-2009
donoñ aalam se vo begāna nazar aatā hai
jo tire ishq meñ dīvāna nazar aatā hai
ishq-e-but ka.aba-e-dil meñ hai ḳhudāyā jab se
terā ghar bhī mujhe but-ḳhāna nazar aatā hai
sho.ala-e-ishq meñ dekhe koī jalnā dil kā
sham.a ke bhes meñ parvāna nazar aatā hai
misr kā chāñd bhī shaidā hai azal se un kā
husn kā husn bhī dīvāna nazar aatā hai
bāġhbāñ baaġh meñ kis shoḳh kī tahrīr hai ye
varaq-e-gul pe jo afsāna nazar aatā hai
hai ajab husn-e-tasavvur tire dīvāne kā
tere jaisā tirā dīvāna nazar aatā hai
un kī mast aañkh mire dil meñ hai raqsāñ 'purnam'
ḳhuub paimāne meñ paimāna nazar aatā hai
Top Urdushayar.com