Shamim Tariq

mahbub sa andaz-e-bayan be-adabi hai

Shamim Tariq

1952
mahbūb sā andāz-e-bayāñ be-adabī hai
mansūr isī jurm meñ gardan-zadanī hai
ḳhud apne hī chehre kā ta.ayyun nahīñ hotā
hālāñki mirā kaam hī ā.īnā-garī hai
aane do abhī jubba o dastār pe patthar
kuchh kāba-nashīnoñ meñ abhī bū-lahbī hai
ḳhālī hī rahā dīda-e-pur-shauq kā dāman
andhoñ kī aqīdat meñ vasī-un-nazarī hai
har paañv se uljhā huuñ kaTī Dor ke mānind
'tāriq' mirī qismat kī patañg jab se kaTī hai
Top Urdushayar.com