laboñ  pe  an-kahī  bāteñ  rakhī  haiñ
mahaktī  surma.ī  shāmeñ  rakhī  haiñ
ye  jo  dar  pe  tire  āñkheñ  rakhī  haiñ
tire  bīmār  kī  sāñseñ  rakhī  haiñ
kabhī  to  dekh  aa  kar  kis  tarah  se
lagā  kar  tah  tirī  yādeñ  rakhī  haiñ
maiñ  kaise  ab  sameTūñ  zindagī  ko
kahīñ  din  to  kahīñ  rāteñ  rakhī  haiñ
talāshī  le  chukīñ  har  ek  dil  kī
sabhī  meñ  bas  ghuTan  aaheñ  rakhī  haiñ
ajab  hai  zindagī  kā  khel  'jyotī'
yahāñ  apno  se  hī  māteñ  rakhī  haiñ