jis  taraf  dekhiye  tūfān  nazar  aane  lage
shahr  ke  shahr  hī  vīrān  nazar  aane  lage
jab  se  shīshoñ  ne  kiyā  un  ke  havāle  ḳhud  ko
tab  se  patthar  bhī  pareshān  nazar  aane  lage
muḳhtasar  ham  ne  kiyā  ḳhud  ko  zarā  sā  ḳhud  meñ
kis  qadar  rāste  āsān  nazar  aane  lage
muflisī  meñ  huī  pahchān  mujhe  apnoñ  kī
thā  gumāñ  jin  pe  vo  anjān  nazar  aane  lage
ik  qadam  hī  to  baḌhāyā  hai  hamārī  jānib
aap  ko  fā.ede  nuqsān  nazar  aane  lage
dekh  kar  merī  talab  merā  junūn-e-manzil
rāste  kaise  pareshān  nazar  aane  lage