titliyāñ  niiñd  kī  pahle  to  uḌaa.ī  jaa.eñ
phir  hameñ  ḳhvāboñ  kī  ta.abīreñ  batā.ī  jaa.eñ
hausloñ  kī  liye  patvār  laḌe  maujoñ  se
kashtiyāñ  aisī  samundar  meñ  chalā.ī  jaa.eñ
dard  ne  dil  pe  mire  phir  se  lagā.ī  dastak
us  kī  rāheñ  sabhī  phūloñ  se  sajā.ī  jaa.eñ
likh  ga.e  mīr-taqī-'mīr'  suḳhnavar  'ġhālib'
giit  ġhazleñ  vo  zamāne  ko  sunā.ī  jaa.eñ
kar  de  rusvā  jo  hameñ  sab  kī  nazar  meñ  'jyotī'
bāteñ  kahtī  huuñ  vo  ḳhud  se  bhī  chhupā.ī  jaa.eñ