Mubarak Shamim

main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas

Mubarak Shamim

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1928

maiñ vo ik jins-e-girāñ huuñ sar-e-bāzār ki bas

haath yuuñ milte haiñ hasrat se ḳharīdār ki bas

aaj tak ahl-e-vafā se na kisī ne pūchhā

aur jaarī rahe shuġhl-e-rasan-o-dār ki bas

chilchilātī huī ye dhuup ye tapte maidāñ

aur idhar hausla-e-dil vo isrār ki bas

aa gayā yazdāñ ko taras āḳhir kaar

itnā sharminda-o-nādim thā gunahgār ki bas

shiddat-e-shauq meñ had se na guzar jaa.e kahīñ

koī kar de dil-e-nādāñ ko ḳhabar-dār ki bas

yahī kahtā hai ab chal ke vahīñ Thahro

ham ne vīrānoñ meñ dekhe haiñ vo āsār ki bas

daulat-e-aish milā kartī hai nā-dānoñ ko

ahl-e-idrāk jiyā karte haiñ yuuñ ḳhvār ki bas

chup is daur meñ rahiye to munāsib hai 'shamīm'

kaan yuuñ rakhte haiñ varna dar-o-dīvār ki bas

Top Urdushayar.com