Imam Bakhsh Nasikh

raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838

rāt-bhar jo sāmne āñkhoñ ke vo mah-pāra thā

ġhairat-e-mahtāb apnā dāman-e-nazzāra thā

ban ga.e girdāb sail-e-ashk jaa.e gard-bād

abr-e-tar tarah maiñ jis dasht meñ āvāra thā

ne āñkheñ pher liiñ yaañ kaam āḳhir ho gayā

tā.ir-e-jāñ pā-e-band-e-rishta-e-nazzāra thā

shab tire partav se labrez-e-latāfat thā chaman

har gul-e-shabbū se jaarī nuur favvāra thā

mujh ko dam lene bhī fursat na duniyā meñ milī

roz-e-maulid shādiyāna kuuch naqqārā thā

ḳhurramī hotī hai bedardoñ ko sair-e-bāġh meñ

ham ne jis gul par nazar ik gul-e-sad-pāra thā

ḳhvāb meñ bhī yaar tak mumkin na thā daḳhl-e-raqīb

jin dinoñ apnā ḳhayāl aḳhbār harkāra thā

shab nazar maiñ ne furqat meñ jo sū-e-asmāñ

azhdahā thī kahkashāñ aqrab har ik sayyāra thā

ai ajal ne bār-e-jism se aa kar najāt

kab se merī piiTh par ye ḳhaak pushtāra thā

ḳhauf sab jaatā rahā dil se azāb-e-hijr

naqd-e-jāñ denā gunāh-e-ishq kaffāra thā

kahte haiñ maarā gayā vo jurm-e-teġh-e-nāz se

kūcha-e-qātil meñ 'nāsiḳh' naam jo bechāra gayā

Top Urdushayar.com