Imam Bakhsh Nasikh

mujhko furqat ki asiri se rihai hoti

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
mujh ko furqat kī asīrī se rihā.ī hotī
kaash iisā ke evaz maut hī aa.ī hotī
āshiqī meñ jo maza hai to yahī furqat hai
lutf kyā thā jo agar us se judā.ī hotī
gar na ho sham.a to ma.adūm haiñ parvāne bhī
tū na hotā to sanam kab ye ḳhudā.ī hotī
ġhair se karte ho abrū ke ishāre har dam
kabhī talvār to mujh par bhī lagā.ī hotī
us kī har dam kī nasīhat se maiñ tañg aayā huuñ
kaash nāseh se bhī aañkh us ne laḌā.ī hotī
huuñ vo ġham-dost ki sab apne hī dil meñ bhartā
ġham-e-ālam kī agar is meñ samā.ī hotī
ḳhat ke āġhāz meñ to mujh se huā saaf tū kab
lutf tab thā ki safā.ī meñ safā.ī hotī
abr-e-rahmat se to mahrūm rahī kisht mirī
koī bijlī hī falak tū ne girā.ī hotī
dasht-e-pur-ḳhār meñ mehñdī kī havas bhī niklī
kab hamārī kaf-e-pā varna hinā.ī hotī
dhoī kyuuñ ashk ke tūfān se lauh-e-mahfūz
sar-navisht apnī hī 'nāsiḳh' ne miTā.ī hotī
Top Urdushayar.com