Imam Bakhsh Nasikh

hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838

haa.e laayā na koī qāsid-e-dilbar kāġhaz

ho gayā ġham se hamārā tan-e-lāġhar kāġhaz

nāma-e-yār ke likhne ko mujhe arzāñ hai

tol de gar koī sone ke barābar kāġhaz

yuuñ lifāfe meñ hamārā hai kalām-e-shīrīñ

jis tarah bāñdhte haiñ qand ke uupar kāġhaz

nā-tavānī se nahīñ hai mujhe mumkin harakat

maiñ huuñ harfoñ tarah merā hai bistar kāġhaz

haal likkhā hai jo maiñ ne badan-e-lāġhar

le uḌā tinke mānind kabūtar kāġhaz

maiñ ne likhā hai jo apnā ye musībat-nāma

mohr karne ko karūñ ashk se ab tar kāġhaz

mere naame ko agar dast-e-hinā.ī meñ vo le

varaq-e-gul se bhī ho rañg meñ behtar kāġhaz

hāl-e-soz-e-ġham-e-furqat karūñ tahrīr to ho

kabk choñch qalam baal samundar kāġhaz

is qadar misl-e-qalam maiñ ne jabīñ-sā.ī

ban gayā ghis ke dar-e-yār patthar kāġhaz

yaar ne ḳhat meñ jo likkhā hai ki na aanā hargiz

ho gayā mere liye sadd-e-sikandar kāġhaz

saath naame ke ga.ī jaan bhī sū-e-jānāñ

ho gayā tā.ir-e-jāñ ke liye shahpar kāġhaz

nahīñ tohfa ḳhat-e-jānāñ ke barābar koī

hai mujhe qand-o-zaqan se kahīñ behtar kāġhaz

jā-e-jarrāh ki ab nāma-bar aa pahuñchā hai

badle phāhe ke rakhūñ dāġh-e-jigar par kāġhaz

kyā maiñ iflās meñ ḳhat yaar ko likkhūñ 'nāsiḳh'

na qalam hai na siyāhī na mayassar kāġhaz

Top Urdushayar.com