Imam Bakhsh Nasikh

chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
chain duniyā meñ zamīñ se tā-falak dam bhar nahīñ
daaġh haiñ ye gul nahīñ nāsūr haiñ aḳhtar nahīñ
sar rahe yā jaa.e kuchh ham mai-kashoñ ko Dar nahīñ
kaun sā mīnā-e-mai ai mohtasib be-sar nahīñ
vo but-e-shīrīñ-adā kartā hai mujh ko sañgsār
ye shakar-pāre baraste haiñ junūñ patthar nahīñ
ho rahā hai ek aalam tere abrū par nisār
kaun gardan hai jahāñ meñ jo tah-e-ḳhanjar nahīñ
dam nikalne par jo aatā hai nahīñ ruktā hai phir
dekh lo qasr-e-habāb ai ahl-e-ġhaflat dar nahīñ
aadmī to kyā vo kahtā hai nishān-e-pā se bhī
kyuuñ paḌā hai mere kūche meñ tirā kyā ghar nahīñ
ai tasavvur kyuuñ butoñ ko jamā kartā hai yahāñ
dil mirā ka.aba hai kuchh but-ḳhāna-e-āzar nahīñ
shikva jo be-naukrī kā karte haiñ nādān haiñ
aap aaqā hai kisī kā jo koī naukar nahīñ
hai ḳharābāt-e-jahāñ meñ bhī vo saaqī se nufūr
jo ki ai 'nāsiḳh' ġhulām-e-sāqī-e-kausar nahīñ
Top Urdushayar.com