Imam Bakhsh Nasikh

aa gaya jab se nazar wo shoKH harjai mujhe

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
aa gayā jab se nazar vo shoḳh harjā.ī mujhe
kū-ba-kū dar dar liye phirtī hai rusvā.ī mujhe
kaam āshiq ko kisī kī aib-bīnī se nahīñ
husn-bīnī ko ḳhudā ne dī hai bīnā.ī mujhe
jaur sahtā huuñ butoñ ke nā-tavānī ke sabab
dil uThā luuñ is qadar kab hai tavānā.ī mujhe
jis tarah aatā hai piirī meñ javānī kā ḳhayāl
vasl kī shab yaad roz-e-hijr meñ aa.ī mujhe
gintī ek ik naam kī har gor meñ murde haiñ dafn
bād-e-murdan bhī huī dushvār tanhā.ī mujhe
misl-e-sāġhar bazm-e-ālam meñ maiñ kab ḳhandāñ huā
kis liye detā hai gardish charḳh-e-mīnā.ī mujhe
ain dānā.ī hai 'nāsiḳh' ishq meñ dīvāngī
aap saudā.ī haiñ jo kahte haiñ saudā.ī mujhe
Top Urdushayar.com