Imam Bakhsh Nasikh

hai mohabbat sab ko uske abru-e-KHamdar ki

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
hai mohabbat sab ko us ke abru-e-ḳhamdār kī
hind meñ kyā aabrū baaqī rahī talvār kī
vasl kī shab chāndnī dīvār se jaane na paa.e
minnateñ kartā huuñ har ḳhār-e-sar-e-dīvār kī
usturā phirne se rū-e-yār par hai daur-e-ḳhat
chaal us kam-baḳht ne sīkhī hai kyā parkār kī
nashsha-e-mai kā gumāñ karne lagā vo bad-gumāñ
dekh kar surḳhī hamāre dīda-e-ḳhūñ-bār kī
ghar bhī merā muntazir hai yaar kā merī tarah
rauzan-e-dar meñ hai sūrat dīda-e-bedār kī
kahte ho ham ḳhvāb meñ aate jo tū sotā kabhī
ḳhuub kī barbād mehnat dīda-e-bedār kī
bāġh-e-ālam meñ kahāñ hai koī mujh sā rahm-dil
roz kartā huuñ ayādat nargis-e-bīmār kī
dāġh-e-sar haiñ josh-e-saudā meñ ba-rañg-e-gul mujhe
misl-e-gulbun paañv meñ kab hai shikāyat ḳhaar kī
vo ḳhudā kā dost hai aur dost hai us kā ḳhudā
kyuuñ na ho 'nāsiḳh' mohabbat haidar-e-karrār kī
Top Urdushayar.com