Imam Bakhsh Nasikh

tu ne mahjur kar diya hum ko

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
tū ne mahjūr kar diyā ham ko
saḳht ranjūr kar diyā ham ko
apnī barq-e-nigāh se tum ne
shajar-e-tūr kar diyā ham ko
dil banā āshiqī meñ ḳhud-muḳhtār
aur majbūr kar diyā ham ko
aisī tārīf kī ki ai vaa.iz
āshiq-e-hūr kar diyā ham ko
ġham nahīñ mohtasib jo toḌ ke ḳhum
nashshe ne chuur kar diyā ham ko
jis qadar ham se tum hue nazdīk
us qadar duur kar diyā ham ko
kabhī bār-e-ġham-e-firāq utaar
tū ne mazdūr kar diyā ham ko
ho gayā mai se nasha-e-irfān
naar ne nuur kar diyā ham ko
the to maqhūr hone ke laa.eq
baare maġhfūr kar diyā ham ko
Top Urdushayar.com