Imam Bakhsh Nasikh

hain ashk meri aankhon mein qulzum se ziyaada

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838

haiñ ashk mirī āñkhoñ meñ qulzum se ziyāda

haiñ daaġh mire siine meñ anjum se ziyāda

sau ramz kartā hai ishāre meñ vo bāteñ

hai lutf ḳhamoshī meñ takallum se ziyāda

juz sabr dilā chāra nahīñ ishq-e-butāñ meñ

karte haiñ ye zulm aur tazallum se ziyāda

mai-ḳhāne meñ sau martaba maiñ mar ke jiyā huuñ

hai qulqul-e-mīnā mujhe qum-qum se ziyāda

sau raqs se afzūñ hai parī-rū tirī raftār

paañv sadā laakh tarannum se ziyāda

taklīf-e-takalluf se kiyā ishq ne āzād

mū-e-sar-e-shorīda haiñ qāqum se ziyāda

māshūqoñ se ummīd-e-vafā rakhte ho 'nāsiḳh'

nādāñ koī duniyā meñ nahīñ tum se ziyāda

Top Urdushayar.com