kise  ab  dāstāñ  apnī  sunā.eñ
muqābil  aa.ine  ke  baiTh  jaa.eñ
jo  aatā  hai  guzar  jaatā  hai  phir  bhī
zamīn-e-dil  kī  ḳhaak  ab  kyuuñ  uḌā.eñ
hazāroñ  log  tishna-lab  yahāñ  haiñ
vuzū  kaise  kareñ  kaise  nahā.eñ
añdherā  hī  añdherā  har  taraf  hai
charāġh-e-dil  kahāñ  tak  ham  jalā.eñ
usī  ik  baat  kā  charchā  bahut  hai
jise  ham  ne  to  chāhā  thā  chhupā.eñ
chaman  kā  gosha  gosha  jal  rahā  hai
kisī  chhoḌeñ  yahāñ  kis  ko  bachā.eñ
zamīñ  kā  ek  TukḌā  hai  jahāñ  par
adab  ke  saath  chaltī  hai  havā.eñ
musalsal  zaḳhm  kā  parda  kahāñ  tak
kahāñ  tak  tiir  khā  kar  muskurā.eñ
nazar  kī  sham.a  raushan  kar  rahā  huuñ
na  jaane  kab  sitāre  Duub  jaa.eñ
abhī  itnī  mohabbat  bhī  bahut  hai
ga.e  vo  din  ki  tum  ko  āzmā.eñ
bichhaunā  bhī  nahīñ  hai  aaj  'tālib'
taḌap  ġham  niiñd  aañsū  kyā  bichhā.eñ