jo  sahrā  hai  use  kaise  samundar  likh  diyā  jaa.e
ġhazal  meñ  kis  tarah  rahzan  ko  rahbar  likh  diyā  jaa.e
qalam  ke  dosh  par  ho  imtihāñ  kā  bojh  jis  had  tak
magar  haq  to  ye  hai  patthar  ko  patthar  likh  diyā  jaa.e
kisī  in.aam  kī  ḳhātir  na  hogā  ham  se  ye  hargiz
ki  ik  shāhīn  ko  jañgalī  kabūtar  likh  diyā  jaa.e
sitam  kī  dāstāñ  kis  raushnā.ī  se  raqam  hogī
lahū  kī  dhaar  se  daftar  kā  daftar  likh  diyā  jaa.e
kisānoñ  ko  mayassar  jab  nahīñ  do  vaqt  kī  roTī
to  aise  khet  ko  be-sūd-o-banjar  likh  diyā  jaa.e
hamārī  tishnagī  se  bhī  koī  masrūr  hotā  hai
hamārī  pyaas  ko  labrez  sāġhar  likh  diyā  jaa.e
qalam  ko  maiñ  ne  bhī  talvār  āḳhir  kar  liyā  'tālib'
mirī  nok-e-qalam  ko  nok-e-ḳhanjar  likh  diyā  jaa.e