mirī  Dagar  se  bhī  ik  din  guzar  ke  dekh  zarā
ai  āsmān  zamīñ  par  utar  ke  dekh  zarā
dhaḌakne  lagte  haiñ  dīvār-o-dar  bhī  dil  kī  tarah
ki  sañg-o-ḳhisht  meñ  kuchh  saañs  bhar  ke  dekh  zarā
har  ek  aib  hunar  meñ  badal  bhī  saktā  hai
hisāb  apne  gunāhoñ  kā  kar  ke  dekh  zarā
tū  chup  rahegā  tire  hāth-pāoñ  boleñge
yaqīñ  na  aa.e  to  ik  roz  mar  ke  dekh  zarā
uThe  jidhar  bhī  nazar  raushnī  udhar  jaa.e
karishme  kaise  haiñ  us  kī  nazar  ke  dekh  zarā
masīhā  ho  ke  bhī  hotā  nahīñ  masīhā  koī
tū  zaḳhm  zaḳhm  kisī  din  bikhar  ke  dekh  zarā
ḳhamoshiyoñ  ko  bhī  'tālib'  zabān  hai  ki  nahīñ
sukūt-e-dariyā  ke  andar  utar  ke  dekh  zarā