hamārī  pyaas  ko  itnā  jagāyā  hai  muqaddar  ne
ki  ik  qatre  ko  bhī  dariyā  banāyā  hai  muqaddar  ne
kabhī  tūfāñ  se  Takrā.e  kabhī  maujoñ  se  laḌ  baiThe
hameñ  hālāt  se  laḌnā  sikhāyā  hai  muqaddar  ne
hamārī  chāhatoñ  kī  shab  bhī  guzrī  vaqt  se  pahle
hameñ  ik  ḳhvāb  aisā  bhī  dikhāyā  hai  muqaddar  ne
na  koī  aarzū  hai  ab  na  koī  justujū  mujh  ko
mujhe  kyuuñ  zindagī  se  ab  milāyā  hai  muqaddar  ne
jahāñ  manzil  to  hāsil  hai  magar  apnā  nahīñ  koī
mujhe  kyuuñ  aise  rastoñ  par  chalāyā  hai  muqaddar  ne
rulāyā  hai  satāyā  hai  jalāyā  hai  ki  ai  'tālib'
sitam  kā  har  tarīqa  āzmāyā  hai  muqaddar  ne