vaqt  achchhā  jo  mirā  thā  pahle
har  nazar  ko  maiñ  bhalā  thā  pahle
ab  kahīñ  jā  ke  fasāna  samjhā
us  ke  muñh  se  na  sunā  thā  pahle
sirf  ham  hī  na  hue  the  pāgal
kuchh  to  us  ko  bhī  huā  thā  pahle
hai  zamīñ-bos  imārat  itnī
is  kā  siina  bhī  tanā  thā  pahle
zindagī  khā  ke  thapeḌe  bigḌī
maiñ  to  itnā  na  burā  thā  pahle
ba.ad  meñ  dil  se  ga.ī  shīrīnī
zahr  duniyā  ne  bharā  thā  pahle
dhuul  jab  tak  na  haTī  āñkhoñ  se
saaf  'tālib'  na  dikhā  thā  pahle