fikr  ke  saare  dhāge  TuuTe  zehn  bhī  ab  ma.azūr  huā
ab  ke  bahār  ye  kaisī  aa.ī  kaisā  ye  dastūr  huā
kal-purzoñ  kā  rūh-e-ravāñ  ye  aur  vo  sarmā.e  kī  joñk
lekin  us  kī  nazroñ  meñ  ye  dhartī  kā  nāsūr  huā
din  kī  safedī  terī  nazar  meñ  raat  kī  kaalī  chādar  hai
raat  kā  ḳhūnī  añdhiyārā  bhī  terī  nazar  meñ  nuur  huā
jab  se  dekhā  hai  khetoñ  meñ  maiñ  ne  zālim  dhuup  kā  ruup
tab  se  terī  zulf  kā  saaya  duur  bahut  hī  duur  huā
zulm  ko  us  ne  zulm  kahā  hai  jabr  ko  us  ne  jabr  kahā
ya.anī  'ziyā'  ab  'ziyā'  nahīñ  hai  vaqt  kā  vo  mansūr  huā