terī  āñkhoñ  se  milī  jumbish  mirī  tahrīr  ko
kar  diyā  maiñ  ne  mukammal  ḳhvāb  kī  ta.abīr  ko
jab  mohabbat  kī  kahānī  lab  pe  aatī  hai  kabhī
vo  burā  kahte  haiñ  mujh  ko  aur  maiñ  taqdīr  ko
uf  re  ye  shor-e-salāsil  niiñd  sab  kī  uḌ  ga.ī
do  rihā.ī  aa  ke  tum  pā-basta-e-zanjīr  ko
ye  araq-ālūda  peshānī  ye  ranj-o-iztirāb
dekh  jā  aa  kar  shikast-e-ishq  kī  tasvīr  ko
zindagī  yuuñ  un  ke  qadmoñ  par  nichhāvar  maiñ  ne  kī
jaise  parvāna  jalā  de  nuur  par  taqdīr  ko
ai  mire  ma.asūm  qātil  itnī  mohlat  de  mujhe
chuum  luuñ  āñkhoñ  se  apnī  barahna  shamshīr  ko
jis  ne  chāhat  ke  tajassus  meñ  gañvā  dī  zindagī
vo  kahāñ  toḌegā  'tishna'  zulm  kī  zanjīr  ko