Ramzi Asim

nind aati hai magar KHwab nahin aate hain

Ramzi Asim

Karachi, Sindh, Pakistan

1975

niiñd aatī hai magar ḳhvāb nahīñ aate haiñ

mujh se milne mire ahbāb nahīñ aate haiñ

shahr bhiiḌ se ḳhud ko to bachā laatā huuñ

go salāmat mire āsāb nahīñ aate haiñ

tishnagī dasht dariyā ko Dubo de na kahīñ

is liye dasht meñ sailāb nahīñ aate haiñ

Dūbte vaqt samundar meñ mire haath lage

vo javāhir jo sar-e-āb nahīñ aate haiñ

unheñ aatī nahīñ bazm-e-suḳhan-ārā.ī

hameñ bazm ke ādāb nahīñ aate haiñ

ham-nashīñ dekh mukāfāt-e-amal hai duniyā

kaam kuchh bhī yahāñ asbāb nahīñ aate haiñ

Top Urdushayar.com