Pandit Chandr Bhan Barahman

KHuda ne kis shahar andar haman ko lae Dala hai

Pandit Chandr Bhan Barahman

1574-1662

ḳhudā ne kis shahar andar haman ko laa.e Daalā hai

na dilbar hai na saaqī hai na shīsha hai na pyāla hai

piyā ke naañv simran kiyā chāhūñ karūñ kis siiñ

na tasbīh hai na simran hai na kanThī hai na maalā hai

ḳhubāñ ke baaġh meñ raunaq hue to kis tarah yārāñ

na donā hai na marvā hai na sausan hai na laalā hai

piyāñ ke naañv āshiq kuuñ qatl ajab dekhe

na barchhī hai na karchhī hai na ḳhanjar hai na bhālā hai

'barahman' vāste ashnān ke phirtā hai bagiyāñ siiñ

na gañgā hai na jamunā hai na naddī hai na naala hai

Top Urdushayar.com