vus.at-e-chashm  ko  andoh-e-basārat  likhkhā
maiñ  ne  ik  vasl  ko  ik  hijr  kī  hālat  likhkhā
maiñ  ne  parvāz  likhī  hadd-e-falak  se  aage
aur  be-bāl-o-parī  ko  bhī  nihāyat  likhkhā
maiñ  ne  ḳhushbū  ko  likhā  dastaras-e-gum-shudagī
rañg  ko  fāsla  rakhne  kī  ri.āyat  likkhā
husn-e-goyā.ī  ko  likhnā  thā  likhī  sargoshī
shor  likhnā  thā  so  āzār-e-samā.at  likhkhā
maiñ  ne  ta.abīr  ko  tahrīr  meñ  aane  na  diyā
ḳhvāb  likhte  hue  mohtāj-e-bashārat  likhkhā
koī  āsān  rifāqat  nahīñ  likkhī  maiñ  ne
qurb  ko  jab  bhī  likhā  jazb-e-raqābat  likhkhā
itne  daaoñ  se  guzar  kar  ye  ḳhayāl  aatā  hai
'azm'  kyā  tum  ne  kabhī  harf-e-nadāmat  likhkhā