ye  hai  to  sab  ke  liye  ho  ye  zid  hamārī  hai
is  ek  baat  pe  duniyā  se  jañg  jaarī  hai
uḌaan  vaalo  uḌānoñ  pe  vaqt  bhārī  hai
paroñ  kī  ab  ke  nahīñ  hausloñ  kī  baarī  hai
maiñ  qatra  ho  ke  bhī  tūfāñ  se  jañg  letā  huuñ
mujhe  bachānā  samundar  kī  zimmedārī  hai
isī  se  jalte  haiñ  sahrā-e-ārzū  meñ  charāġh
ye  tishnagī  to  mujhe  zindagī  se  pyārī  hai
koī  batā.e  ye  us  ke  ġhurūr-e-bejā  ko
vo  jañg  maiñ  ne  laḌī  hī  nahīñ  jo  haarī  hai
har  ek  saañs  pe  pahrā  hai  be-yaqīnī  kā
ye  zindagī  to  nahīñ  maut  kī  savārī  hai
duā  karo  ki  salāmat  rahe  mirī  himmat
ye  ik  charāġh  ka.ī  āñdhiyoñ  pe  bhārī  hai